Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Monday, October 31, 2011

kala jadoo symptoms

As salamu allaiqum

apna ilaj karna se pehla yeah kala jado ka symptoms deak la k kahi app kala jado ka victim to nahi ha . agar app k sath kala jadu ka symptoms match hote ha to apna uper se kala jado ko kateen

kala jado ka symptoms yeah ha

1) ager kisi ny khowab main pakhana deakha ho ya pishab deakha ho ya apna app ko ghosal khana main deakha hoo ya pakhana us ka jisam main laga dekha garaz yeah ka najis ko deakha ho khowab main.
2)sir main darad rehna
3)pora jisam main darad rehna .
4) sex ki khowahish barna yani sex ki talab main zayatee hona .
5) kamar aur ghordo main darad rehna .
6) galeez galeez paad ana .
7) jisam main agg mehsos hona.
8) pora jisam garam rehna aur nak aur mu se garam hawa nikal .
9) ankhe jalna aur lal rehna.
10)pishab aur pkhana bar bar ana .
11) dil tazz tazz darak na .
12 ) sans mushkel se ana aur sena main darad rehna .
13) chir chira ho jana .
14) face jo hai kala ho jana jitna saket jado ho ga otna he face kala ho ga .
15) pet main darad rehna aur dast jesa pkhana karna yani bad hazme walay .
16) face per danay nikal na.
17) face behanak ho jana .
18) dil main ghabrate hona .
19 ) bay sakone mehsos karna
20 ) sab kuch hona ka ba wajood na kush hona .
21) pet ka khaya piya gayab ho jana yani jo khaya tha wo ada ya 1 ganta main gayab phir bhook lagna lag jatee hai yani khana bar bar khana .
22) namaz se door aur allah se nafrate karna aur bora bala kehna dil main yeah was wasa hota hai
23) galah kharab rehna aur voice quality be
24) khowab main darna aur ajeeb ajeeb dorona khowab deakna kabe makre kabe sanap kabe chopkali aur lal bake .
25) dil main ajeeb se khof hona aur dar be.
26) jisam main soheya chub na.
27 meda main dard rehna aur matli ki shekayat rehan .
28) kaheli aur dehla ho jana yani nikama ho jana aur khoob sona dair dair tak .
29) demage ka theek kam nahi karna kisi cheez ka jaga per rakha kar bhool jana aur phir baad main doond ta rehna yadasht ka kamzoor ho jana pasa ka lan dan main pasa zada de dena
30) apna app se nafrate karna .
31) ankho ka samna blue ya ping colour daba nazar ana ya phir lines nazar ana ajeeb see
32) belawaja ki zada thakan hona
33) quran perna se ya suna se jisam main darad ya takleef hona
34) sena main jalan or tazabiyat hona
35 bar bar ahtalam hona mard ko
36 jisam ki ragee kich na jisam ka parakhna
37 hath payer sun ho jana
38 sir main dana nikal na
39 pishab main bohat tazz badbu ana
40 pakhana bohat zada badbu dar ana
41 jisam main sarde lagna
42 payro main dard rehna
43 khoweb main kuta deak na or morde deak na or bicho
44 din ba din sookte jana
45 madicine asar na karna ya phir kabe kabe start main madicine asar karte hai or us ka baad wohe madicine nooksan pouchate hai ya phir shoro main faida hota hai us ka baad nahi hota
46 zina deak na khoweb main khoweb main larki or larka ko sex karta howa deak na ya nanga deak na
47 jisam bhare hona ya sir bhare ya kanda bare hona
48 jisam per nil ka nishan per jana
49 jisam main kamzore hona begar kisi waja k
50 chacker ana or ankho ka agay andera ho jana
51 jisam per red colour ka dana nikal na
52 azan sun kar chir chira hona or bagh na azan ki awaz se or nafrate karna azan se

53 mu main ganda pani ana jis ki ajeeb se gandi badbu ho yeah nak se ake dam halaq main otarte ha jis ki bare ajeeb se heek hote ha or zada tar khana khanay se pehla feel hota ha ya doran main
54 nazla or chikeen bohat zada hona bazz okat chik marte howa ake ajeeb se badbu mehsos karna jesa ka sara howa nazla bahar nikla ho wase badbu
55 her kam main jaldy jaldy karna kohi be kam karna to bus kushes yeah karna ka foron ho jahe for example shop per soda lana ka liya belkul be intazar na karna ka bus yakdam foron soda mil jahe fata fat agar dair hote ha to jisam main bachani start hona shoro ho jate ha or intazar nahi hota
56 khoweb main kali behas deak na ya behas ko nalay main nahate howa deak na khoweb main

57 ankho ka uper kala colour ka saya ghoomta howa nazar ana yani matah ki taraf . ahsa lagta ha jesa ankho ka uper pankha ghoom raha ho jesa helicoptor ka per ghoom raha ho yeah zada us waquat waze nazar ata ha jab victum apni dono ankho se zameen ko deakha to yeah black colour ka per ghoomte howa nazar ate ha
58 jisam main kira kaat na jab ghoor karo to kuch nahi hota
59 neend na ana
60 zindage main kohi dilchaspee nahi
61 khoweb main pani deak na
62 khoweb main log jan se mardalna ta ha
63 ochahe se girna khoweb main


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





25 comments:

Unknown said...

kesy iz kali jadoo sy nijat hasil kya ja sagta hy plz tell

Unknown said...

who we can get rid of from this evill black magic mean kala jadu sy kesy nijat hasil kar sagty hn hum plz do tell help us

Unknown said...

salam ek dum theek kha apny meery mangter per kisi nay kala jadu karaya wo mug se nafrat karta bat nahi karta plz batayen m kaya karaon

Anonymous said...

Namaz or Quran helps alot

Anonymous said...

Oui merci beaucoup! Je dirais que la magie noire est bel et bien présent au Canada dans les communautés indiennes.

Anonymous said...

HELP ME
mere cousin brother par kisi neh kala jadu kar diya tha ,aab oh lapata hai please aap bataye mei kiya karu mere ghar wale unko lekar bahut paresan hai .....
unka simptoms tha aankhe laal hona ,bechaini si hona,aankho ke aas pass kala hona,nind nhi aana ,raato mei darawne sapne aana .apni wife se 2 minut mei achha behave karna ,aur kuchh der mei marne ke liye tyar hona......jiski o khub izzat karte the ,uss aadmi ke bato ka koe fark nhi padna ...always bechaina sa rahana...aur ek din raat mei aachanak ghar se 11pm par nikal jana chupke se ...aur aajtak unka pata nhi chal rha hai please help me ...
8971302630
arvindsingh380@rediffmail.com

Anonymous said...

تم کوی دوسری لڑکی تلاش کرو۔ کیوں، پاکستان میں لڑکیوں کی کمی ہے کیا

ALLAH O AKBAR said...

muj may 4 alamath the in meay,or mujeh toa QURAN,AZAN,ALLAH sb uchay lgthay hay.1st wala symptom hay mj may,or oska pta hay jadu m htha hay

feroz said...

mujhe jinnat ku dekna hai kya padna

anwar said...

pls jadu ka ilaaj bataen jadu ke bahut se sympto m hamare andar mau jud hain meharbani hogi

Anonymous said...

mujh me b isky kuch symptoms hai but i dont think k ye kala jadoo hai. tell me i m rite or wrong

limonewyork said...

hi mara husband ki mostly same alamaat hain quran ki suet ki roshni main ilaj bohat karna ki koshash ki ha .namaz ma mushkil ha . peeron na kafi loota .jisam main derd eyes ka lal hona . her dafa chor ka chela jata hain. lumba ersy ka bad aa jaty hain bohat zida phra likha hain. main bohat perashan hoon.her ik per jadoo ka shuk kerta hain. some time muzhab ka bara main bi bool data hain .main allah per jaqeen rakhti hoon laken samaj koch nahi aa raha quran ki roshni main madad kerain thanks

Unknown said...

Surah Baqra ki Aakhri 2 Ayat subah or shaam tez awaz se padhiye or lahool ka vird karte rahiye Aur namazo k bad dua me "Mushkilate be adad de darima Al madad ya Ghous e Azam Peerima" or iske sath din me 1 durood shareef ki tasbih or qasrat se mohammad sallallahualy wasallam par salam padhe
Aur kisi allah k wali ki mazar se wabasta ho jaye inshallah sari pareshani kuch hi din me dur ho jayegi.

haroon said...

Assalamoalaikum,
Mera naam Haroon hai,maine apke posts aur blogs parhe hain, mujhe umeed hai ap meri madad kar sakte hain. main Abu dhabi UAE main rehta hoon, aur shaadi shuda hon, aik bacha bhi hai. kaafi arsay se main dosri job naa lagne ki wajah se pareshan hoon. Main jahan kaam karta hon wahan na tou koi business hota hai na meri salary barhti hai. Kafi jaga interview diya lekin kisi ne kaam pe nahi rakha. rozana main 20/25 jaga pe apni cv bhejta hoon lekin koi jawab nahi deta. Jis se bhi istekhara karwaya sab ne bundish batayi maine kaafi ilaaj bhi karwaya alag alag logon se.. jaddo ka assar thora khatam hua ilaaj k baad lekin iss se pehle kahin mera kaam hota phir se bundish karwa di kisi ne. main boht zada pareshan hon. main 3/4 saal se iss mushkil main phassa hua hon, bar bar koi bundish rukawat karwa deta hai mere kaam main. mujh pe karza bhi boht bharr gaya hai.
please meri help karen k bundish ki kaat k liye main kya karsakta hon?koi aisa amal jis se meri nokri ki rukawat door hojaye aur achi jaga kaam lag jaye mera. koi aisa amal jis se boht jald faida hojaye ..itne saal se ilaaj karwa k ab umeed khatam hoti ja rahi hai meri.
Allah tou zarrya paida karne wala hai, kya pata mere dil main ye khayal allah ki taraf se aya k apko likho karoon is baray main.
Ap please mujhe reply karain main muntazir rahunga.

Anonymous said...

Assalam walaykum,

Mai bohut pareshan hun. ap ka internet par blogs parhay hai. mujh par bhi bohut sakht bandish ki hui hai. ap kaha hotay hai? aur ap ka koi contact number mil sakta hai?

farukh said...

aoa, amel sahb mere uper jadu ha kae saal sa . pahla ma doctors sa ilaj krvata rha pr 1 year sa bht ziada tbiyt kharab ha ab dawae b asar nh krti. mene hr tarah ka rohani ilaj krvaya ha (taveez, dam , parhae, wazaif ) .fark hr kaam sa pr jata ha mgr dobara sa ye asraat wapis ajaty hain or dobara sa wasi tbiyt ho jati ha or phr os amal sa agy koe faida nh hota. ye jo b asraat hain bht ziada izeat detay hain. agr meri tbiyt ahista ahista theek ho rhi hoti ha tu kisi bhai ki tbiyt kharab hona shuru ho jati ha. amel sahb bht takleef or aziyat ma zindagi guzr rhi ha , meri madad karain. kbi kbi asa lgta ha jese bs jaan nikalna wali ha. amel sahb meri madad karain or mjhy is izeat sa nikalain.

Anonymous said...

Assalamualaikum,
aap se contact kaise kare mere walid sahab ki tabyat bht kharab rehti hai kya aap unka elaj karskte hai?

Anonymous said...

assalam o alaikum..
uncle umeed hai ap kheriyat se hon ge..
uncle maine net pe ap ki d hui information parhi ilm e ramal k baray main..
ap ne boht c mufeed maloomat di hui hai logon ko main hairan hun k amileen to logon ko 1 lafaz bhi bata k razi ni or apne hum sab ki itni achi rahnumayi ki hui hai.. Allah apko iska bara ajar de.. ameen..
uncle meri problem ye hai k hamaray ghar main pichlay 10 saal se jaadu hai mere ami abu behen bhai or main.. hum sab iski zadd main hain.. uncle apki rehnumayi chahye is silsilay main hum behad pareshan hain.. bohat takleef main hain.. uncle umeed hai ap madad karen gay.

Anonymous said...

Aslkm mere bhai ka masla hai unki married life succesful nai hai.unki wife unki koi bat nai manti jhut bolti hai parda nai karti mom ki koi bat nai manti kisi ne kaha asrat hai plzz help me my brother is in tension unhe lagra hai ki vo use divorce dede plzz aap istekhara karke hume is masle ka hal bataye humlog bhot pareshan hai
Allah hafiz

adeela said...

salam mera name adeela hai meri maan ka name shehnaz hai mery sath masla hai pechly 4 saloon sy mujay aisay khuwab daikhti hun k main nangi hun mery kaprray nhi hai aur mai kisi k sath zana kar rhi hun mai buhat parishan haqeeqat mai log muj par ilzam laga rahay rhay hai aur badnam ho rahi hun 2 dafa mera nikah ho chuka hai aur dono dafa talaq huvi hai plz KHUDA kay leye meri madad karay mai buhat parishan

Unknown said...

ysss ysssss yssss...same as same...ysss...same as same symptoms I saw...he lived with me.....ysssss i m fully sure 10000 percent sure....he is effected by black magic...I dont know about his dreams...but all of symptoms same as same i saw in him..n he was trying to transfer his symptoms in me....i m in trouble....plsss plss plsss help me...I ll be always greatful to u.

Unknown said...

There are many kinds of Kala jadu. and every black magic have some good and some bad effects too. Don't understand why people prefer it.

Anonymous said...

asalamualekum
mere walid ki tabiyet bohat bohat khrab hai
ek saal se hum log unko lekar behad pareshan hai . abhi wo hospital me admit hai,
3 bar humne unki report nikale har bar alag report ati hai,
aur jo nishaniya apne bataye wo bhi humare sath bohat ho rahi hai
humra sara ghar hi pareshan hai
please ap humari madad karo
hum log bohat pareshani ke dor me agaye hai humare walid ke siwa humara koi nahi hai

Anonymous said...

mera masla ye he ke mere uper our meri biwi ke uper bahut bhari jadu hua our mene use quran ki taqat se khatam kia our mujh per jisne jadu kiya woh log zahir ho gaye mene onke bare me raaz ko zahir kar diya mene suna jab karwane wala zahir ho jata he to phir woh dubara himmet nahi karata kya ye sahi he?

Anonymous said...

Assam ali kum mera naam asif h or meri tabbiyt boht khrab h pichle 8 mahine s m boht taklif m hu or jo apne nishaniya btai h un m s kafi chize hoti h mere sath meri life barbad hoti ja rhi h plz meri madad kariye

Popular Posts